Khushnuma Aawara Sa, Besabab Bechara Sa Lamha Tha
Zindagi Ke Aasman Main Toota Sa Woh Taara Tha, Tanha Tha
Keh Rahe Hain Zarre Dekho, Raaston Se Guzra Tha Yahan
Dhoondhte Hain Usko Lekin, Gaayab Hain Pairon Ke Nishaan
Lamha Yeh Jaayega Kahan, Lamha Yeh Jaayega Kahan
Lamha Kahan Yeh Kho Gaya, Ik Pal Main Tanha Ho Gaya
Aaye Jo Mausam Naye, Manzar Badal Jaayenge
Shaakhon Se Patte Gire, Gir Ke Kidhar Jaayenge
Keh Rahe Hain Zarre Dekho, Raaston Se Guzra Tha Yahan
Dhoondhte Hain Usko Lekin, Gaayab Hain Pairon Ke Nishaan
(Lamha Yeh Jaayega Kahan, Lamha Yeh Jaayega Kahan
Lamha Kahan Yeh Kho Gaya, Ik Pal Main Tanha Ho Gaya) - 2
Shabnam Ka Katra Hai Yeh, Shole Bhujha Jaayega
Kar Jaayega Aankhe Nam, Yaadon Main Bas Jaayega
Baarishon Ki Boonde Barse, Baadalon Ke Dil Halke Hue
Jaane Pehchane Chehron Ke Aks Bhi Kyon Dhundhle Hue
(Lamha Yeh Jaayega Kahan, Lamha Yeh Jaayega Kahan
Tanha Yeh Jaayega Kahan, Tanha Yeh Jaayega Kahan) - 3 |