maza lena hai peene ka to kam kam dheere dheere pi - 2
chalega umrabhar peene ka mausam dheere dheere pi
maza lena hai peene ka
nasha kar halka halka sa lahu mein ho tahalka sa - 3
mitega haule haule ye tera gham dheere dheere pi
maza lena hai peene ka
nahi ye aakhari hai aur bhi maikhane raahon mein - 3
jara aaram se kuchh baith hamdam dheere dheere pi
maza lena hai peene ka
juda hoke dukhi hona tadapna jagna rona - 3
jawani mein to honge senkado gham dheere dheere pi
maza lena hai peene ka
chalega umrabhar peene ka mausam dheere dheere pi
maza lena hai peene ka |