maa ko pukarkar pucha bachhe ne
aaya kahaan se ho maa bolo to
pada kahaan paaya gaya bolo to
sunkar sawal yeh
maa ke stanon se uphal pada doodh
aur bah aaya aankhon se uttar
mere laal
tum to hamesha the
mere man ki abhilaasha me
mere tan ki paribhaasha me
bachapan ke gudiyaaghar me
kitni baar tujhe khelate-khelate toda
todate-todate joda
paakar khoya aur khokar paaya hai
kahaan se bataau tu aaya hai
pada tujhe maine kahaan paaya hai
mere laal
(mila tha man ko mere jab ik tan
upja tha tu hi ik madhur chhand ban)- 2
aye
gaat-gaat ang ang mehka tha chhan chananan
os bhari subah se
suhaag ke sangeet se
sab ki manuhaar se
indradhanushi sapnon sa aaya hai
kahaan se bataau tu aaya hai
pada tujhe maine kahaan paaya hai
mere laal
tu haan tu hi to hai meri amar aasha
subah ka sapna
maan aur daadi ki sunahari khwahish
prem ki parampara khwab ki khwahish
aur prem ki asha se bani teri kaya hai
kahaan se bataau tu aaya hai
pada tujhe maine kahaan paaya hai
mere laal
|