Udaas Udaas Fizaaon Mein Noor Chhalakaao
Bujhe Bujhe Hue Taaron Ko Hans Ke Chamakaao
Gurur-E-Husn Salaamat Na Raah Dikhalaao
Rabag Doob Gayaa, Khoone Ab To A Jaao (?)
Aana Hi Padegaa, Aana Hi Padega
Sar Ishq Ke Kadamon Pe Jhukaana Hi Padega
Aana Hi Padega
( Nagama Mera Har Saans Mein Ras Ghol Raha Hai
Is Saans Ke Parade Mein Khuda Bol Raha Hai ) - 2
Chheda Hai Agar Saaz To Gaana Hi Padega - 2
Sar Ishq Ke Kadamon Pe Jhukaana Hi Padega
Aana Hi Padega
Aana Hi Padega A A
( Tapakega Lahu Dard Bhare Raag Se Kab Tak
Khelegi Teri Mast Ada Aag Se Kab Tak ) - 2
Is Khel Mein Ab Haath Jalaana Hi Padega - 2
Sar Ishq Ke Kadamon Pe Jhukaana Hi Padega
Aana Hi Padega
Aana Hi Padega A A
( Ulfat Kabhi Duniya Se Daregi Na Dari Hai
Phoolon Se Javani Ne Sada Maang Bhari Hai ) - 2
Hansane Ke Liye Zakhm To Khaana Hi Padega - 2
Aana Hi Padega - 4 |