din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi - 2
din kushi kaa chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
yaad aa ke rah gayi pyaar ki kahaaniyaan
aansuyon mein bah gayin
pyaar ki kahaaniyaan - 2
pyaar ban ke jo khili
wo kali murajhaa gayi - 2
din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
haay kyuun bichhad gaya - 2
dil se dil milaa huaa - 2
tuu nahin to zindagi
charaag hai bujhaa huaa - 2
do dilon ke pyaar mein
kyuun judaayi aa gayi - 2
din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
ruuth ke chale gaye din meri bahaar ke
phuul hi bikhar gaye
zindagi ke haar ke - 2
dil ki aas tuut ke
aansuyon mein aa gayi - 2
din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi - 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi - 2 |