Hindi Lyrics, Bollywood Lyrics
 
Lyrics Home Lyrics Index Movies Singers Composers Lyricists CategoriesEnglish
 
नयी फिल्में
लक बाई चाँस
विक्टरी
आसमा
जंबो
चांदनी चौक टू चाइना
राज़
वफा
सास बहू और सेंसेक्स
गजनी
मीराबाई नॉट आउट
Popular Lyrics
Dard-E-Disco
Saawariya Saawariya
Aao Milo Chalo
Hare Ram Hare Krishna
Google
 
Click on any letter to see list of songs starting with that alphabet
a  b  c  d  e  f  g  h  i  j  k  l  m  n  o  p  q  r  s  t  u  v  w  x  y  z  others 
Song Name:  Ishq Ki Dastaan (Qawali)
Album Name:  ताज महल (नयी)
Singer Names: कविता कृष्णमूर्ति,प्रीति उत्तम सिंह,
Lyricist Name: 
Music Director: 
 

dil ke armano ki shamma jalae baithe hain
unki tasveer ko dil main chupaye baithe hain
ishq ki dastaan sari mehfil sune
ishq dil main chupana jaroori nahin
ishq ejsaas hain dil ki awaaz hain
sun le sara zamana jaroori nahin

ishq dil main rahega toh ghut jayega
yu hi tadpega machlega mit jayega
ishq ko yu mitana jaroori nahin

ishq mitna nahin hain mehakta hai yeh
ishq shola hain dil main dehakta hain
sabka daman jalana jaroori nahin

ishq elaan hain ishq toofan hain
tauba tauba na samjhe woh nadaan hain
aag dil main dabana jaroori nahin

ishq dil ke dhadakne ki pehchaan hain
ishq bebaat ho chahe badnaam hain
haale dil yu sunana jaroori nahin

ishq koi raaz nahin
ishq aawaz nahin
ishq khamosh nahin
ishq behosh nahin
ishq gumnam na ho
ishq badnaam na ho
ishq duniya ko dikha le
unki aankhon main chupa le
khul ke jeene main maja hain
ada hain nasha hain

Your Ad here
Submit Lyrics  | Feedback  | Latest Updated Lyrics  | Latest Added Lyrics  | Latest Movies
Download DVD movies Link It AddThis Social Bookmark Button