kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai - 2
kaun man pe mere chhaaye ja raha hai
kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai
kaun barakha ki kaali-kaali raat mein - 2
ban ke saaya chal raha hai saath mein - 2
kaun dipak ban ke raah dikhala raha hai
kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai - 2
koyi saathi na tha koyi mit na tha - 2
mere suuni vina mein koyi git na tha - 2
kaun mithe suron se ye gaaye ja raha hai - 2
kaun man ko mere lubhaaye ja raha hai - 2
kaun jiwan mein mere samaaye ja raha hai - 2 |