thandi thandi saavan ki phuhaar
piya aaj khidaki khuli mat chhodo ...
aave jhonke se pagali bayaar,
piya aaj baati jali mat chhodo ...
thandi thandi saavan ki phuhaar ...
diye ki jyoti, akhiyon mein laage, diye ki jyoti ...
diye ki jyoti, akhiyon mein laage,
palakon pe nindiya savaar
piya aaj baati jali mat chhodo
thandi thandi saavan ki phuhaar ...
papeehe ne man ki agni bujha lee, papeehe ne man ki ...
papeehe ne man ki agni bujha lee, pyaasa raha mera pyaar
aave jhonke se pagali bayaar,
piya aaj baati jali mat chhodo ...
thandi thandi saavan ki phuhaar ...
|